Thursday, August 12, 2010

namak...

Namak banna chahta hun…


Saaf dhula safed sa

Lehron se lipat ke aaun,

Kinaron pe Dhoop khaun

Moti na sahi lekin Moti sa chamkun,

Kuchh kar dikhana chahta hun…



Uski bhookh ka hissa ban

Sawaar rahun uski zubaan par

Hone ka pata na chale

Par na hone par sab

feeka lagey mere bina

chuchaap uske lahu mein shaamil ho

uski ragon mein daud lagaun

sar se pair tak fail jaun…nazar bhi na aaun

uske har rang mein ghul

khud ko khona chahta hun

namak banna chahta hun



uske zakhmon mein jo galti se bhar jaun

toh aasuon se bhi main hi bahar aaun

mujhe chakhe ya beh jaane de

thodi si jalan reh jaane de

ehsaas hona zaroori toh nahin

bas yun hi kabhi kabhi yaad aana chahta hun

namak banna chahta hun



mera zyada hona khale

toh mere kam hone mein bhi khala hai

na jaane kya junoon ho chala hai

sookha aur khaara

mujhe nami ki kamii hi bhali ho

apni pyaas ko zinda rakh

khud jeena chahta hun

namak banna chahta hun

No comments:

Post a Comment