mere khaate se kuchh kam hua jaata hai
lagta hai aajkal
hisaab toh nahin rakha
par haath phira ke dekha hai roz
apni daulat ko jiya hai
khud hi pe kharch kiya hai roz
har dafa kharchun jitna chahe
haath dugna hi aata hai
par na jaane ab kyun lagta hai
mere khaate se kuchh kam hua jaata hai
maangne bhar ki der thi
tumhare naam hi kar deti
par hamare beech mera tumhara kya
jo tumhara hai wohi toh mera hua
yehi haq toh phir ek shaq sa banaata hai
ki mere khaate se kuchh kam hua jaata hai
koi kehta hai "kya lekar aaye the jo kho doge"
tumhara kya gaya jo rote ho?
yeh geeta saar padhe sansaar
hum mayaviyon ko maya se hi pyaar
sacche dil se chaaha hai bas ek baar
toh jitna mila bahut hua
itne pe hi rehne do
yeh jo mera khaata hai....
No comments:
Post a Comment