aaj toh hai par kal ka kya...
kal ka hisaab alag hai
aaj ka jawaab alag hai
aaj ke paas ek wajeh hai
har baat ki jirah hai
zidd hai adey rehne ki
kal ke raaste mein khade rehne ki
hamesha yun hi pade rehne ki
ussey yakeen nahin kal pe
raat ke ferbadal pe
bas chale toh na wo kahin jaaye,
na koi kahin se aaye
beet raha hai kahan maanta hai?
na doobtesooraj ko jaanta hai
paani mein na dikhega aks andhere mein
khud ko kahan payega kal ke savere mein?
ek saaya hai aaj
os ki boondon se dhul jayega
pata bhi na chalega kab kal mein ghul jayega
kuchh yaad rahega kuchh bhool jayega
jo meherbaan hua kal aaj par....
toh kuchh zaroor jhuk jayega,
aur shayad kisi ke liye
kal mein bhi ruk jayega
No comments:
Post a Comment